Back to feed

Meri khud ki story

Jyoti ki khani uski jubani

Situation,

Zindagi me ek waqt Aisa tha jab har din sirf zimmedaariyon se bhara lagta tha. Ghar ka kharch, bacche ki fikra, maa ki zimmedari aur apne sapne sab ek sath kandhon par the, bahar se sab normal lagta tha lekin andar se main toot rahi thi.

Ehsaas,

Ek din samajh aaya ki mushkilen mujhe rokne nahi majboot bnane ayi hai. Agar main khud haar maan jaungi to mere apno Ka hausla bhi toot jayega. Us din Maine decide Kiya ki rona kam or ladna jyada hai.

Kaise badla,

Maine chhote chhote kadam uthaye. Online kaam sikhna shuru kiya naye raste dhoondhe, khud par bharosa karna seekha, Aaj bhi safar chal raha hai lekin ab dar nhi lagta, kyunki samajh aa gya hai ki andhera kitna bhi gehra ho, ek choti si Roshni sab badal sakti hai.

Baatcheet