Back to feed

Kash Mai Bhi Ladka Hoti...

"Kaash main bhi ladka hoti…"

Kaash main bhi ladka hoti,

To bina kundi lagaye befikar so pati,

Na darr hota andheron se,

Na khauf hota nazron ke shehron se…

Kaash main bhi ladka hoti,

To raat bhi meri hoti, din bhi mera hota,

Ghar se bahar nikalte waqt

Har kadam pe hisaab na dena padta…

Na kapdon ka bojh uthana padta,

Na “log kya kahenge” sunna padta,

Na har hasi ko galat samjha jata,

Na khud ko baar-baar samjhana padta…

Kaash main bhi ladka hoti,

To raaste chhote nahi lagte,

Sapne adhoore nahi rehte,

Aur aasman bhi itna door nahi lagta…

Yahan to har darwaze pe soch ka tala hai,

Har khushi pe sawaalon ka jaala hai,

Zinda to hoon… par aadhi si lagti hoon,

Jaise apni hi zindagi mein mehmaan si lagti hoon…

Kaash main bhi ladka hoti…

To shayad zindagi itni mushkil na hoti,

Par sach ye hai…

Main ladki hoon, isliye har raat zinda rehne ki dua karke soti hoon…

Aur har subah…

Khud ko thoda aur mar chuki hoti hoon… 💔

✍️ Ek Khamosh Aurat ✍️

Baatcheet