Lekhan ek aisi kala hai ya ye bhi keh skte hain baat hai jiske liye aap poornta swachchhand hote hain iske liye aapko kisi se salah ya kisi ki agya ki jaroorat nhi padti. Hota kya hai kai baar aap apni baat bolkar nhi pr likhkar behter tareeke se bta pate ho aur agr koi sunne wala na bhi ho tab bhi aap kahi bhi likhkar uss baat ko khudse share kar skte ho apna mn halka kar skte ho aur jab aapni likhi hui baat ya rachna swayam pdhte ho tab aap apna aaklan behter tareeke se kar pate ho. Lekhan to wo sath hai jisme aap kitna hi kuchh likhkar khudko behter jaan pate ho.