Back to feed

Aayeena

๐ŸŽต Aayeena

Mukhda:

Zindagi ne mujhe, zindagi ka aayeena dikhaya...

Zindagi ne mujhe, zindagi ka aayeena dikhaya...

Verse 1:

Aayeena dikhake, pehle usne mujhe,

Mere gireban ko dikhaya...

Maine bhi chhupaaya tha yeh sach khud se,

Aayeene se bhi tha yeh parda lagaya...

Chorus 1:

Tere jaise logon ki,

Naa kabhi thi mujhe zarurat...

Yeh baat jo samjhi main aaj,

Thi meri sabse badi jeet...

Verse 2:

Ab hai baari meri, parda faash karun,

Is sach ko duniya ko bataaun...

Naa darun kisi se, naa bhaagun kisi se,

Yahan apna adda jamaauun...

Chorus 2:

Zindagi se keh diya maine,

"Tu ne aayeena dikhaya ab toh main lad'unga!"

Naa jhukunga, naa girunga,

Sirf lad'ta hi lad'ta jaaunga...

Bridge:

Ab dusron ko bhi yaad dilaaunga,

Unka apna gireban...

Kyunki jo jaag gaya khud se mil ke,

Woh rok'ta hai dusron ka toofan...

Mukhda โ€” Ending:

Zindagi ne mujhe, zindagi ka aayeena dikhaya...

Aur maine bhi zindagi ko... apna aayeena dikhaya... โœจ

#Reshma_Shaikh_Writer โœ๏ธ

Baatcheet